Bank account ke mobile number ko kaise badle - Hindime

Bank account ke mobile number ko kaise badle

Share:




Bank account me mobile number add karne ki suwidha lagbhag saare bank me hai or adhiktar bank user apne sbi bank account me apna mobile number add kar chuke hain.agar aap ne abhi tak apne sbi bank account me mobile number add nahi kiya hai to jald se jald kar le.bank account me mobile number add karna bahut impotant hota hai.aaj ke is post me sbi bank account me mobile number register kaise kare ka tarika bataunga.Agar aap ka bank account sbi me hai to aaj ka ye post aap ke liye bahut important hai.is post me mai bataunga ki aap apne sbi bank account me registerd mobile number ko kaise change kar sakte hain.


SBI Account Me Mobile Number Change Kaise Kare

Mobile number bank account se link karne ke laabh

Mobile number sbi bank account se link karna bahut zaruri hota hai.mobile number link karne se aap ke bank account ki Security badh jaati hai.aap ke account se releted saari important information aap ke mobile pr aate rahte hain.
  • Aap ke account me jab bhi paisa Credit and debit hoga to uski jankari aap ko aap ke mobile pr mil jayegi.
  • Jab aap atm se paise nikalte hain to uski jankari aap ko aap ke rajisterd mobile number pr mil jayegi.
  • Aap ke bank account se hone wale har tarah ke online or offline transaction ki jankari aap ko mil jayegi.
  • Jab aap online transaction karte hain ya money transfar karte hain to aap ke mobile pr OTP (One Time Password) aata hai.OTP (One Time Password) se aap ka account secure rahta hai.otp ke kaaran bina aap ke jankari ke aap ke account se koi money nahi nikaal sakta hai.
  • Registered mobile number se aap apne sbi bank account ke bank balance ya last transaction ko ghar baithe dekh sakte hai.

SBI Bank Account Me Mobile Number Change Karne Ka Tarika

Frend's agar aap apne sbi account me registered mobile number ko badalna ya update karna chahte hain to iske liye aap ko kuch bahut easy or simple step folow karne honge.aap apne registered mobile number ko bank ja kar badal sakte hain ya fir bina bank gaye bhi badal sakte hain.aaj mai aap ko do tarike bataunga jinke help se aap apne registered mobile number ko badal sakte hain.


SBI Bank Ja Kar Mobile Number Badalne Ka Tarika

Agar aap apne sbi bank account se link mobile number ko apne bank branch me ja kar badalna chahte hai to iske liye bahut simple step hai.
  • Aap ko sabse pahle apne bank branch me jana hoga jaha aap ka saving account hai
  • Bank jaane ke baad aap ko waha ek application form milega jisme aap ko wo saari details bharni hogi jo usme mangi gai hogi.
  • Mangi gai saari details jaise aap ka name,account number,aadhaar number,old mobile number or new mobile number,ko bharne ke baad aap apne update passbook ka ek photocopy application form ke saath attach kar ke bank me jama kar de.
  • Is tarh aap ke bank account se link mobile number update ho jayega.

ATM Ke Help Se Registered Mobile Number Badalne Ka Tarika




Agar aap bina bank gaye apana registered mobile number badalna chahte hain to aap apne nearest sbi atm me ja kar apan mobile number badal/update kar sakte hai.
  • Sabse pahle aap apne nearest sbi atm me jaye or apna atm card insert kare.
  • Jaise hi aap sbi atm machine me apna atm card insert karenge aap ko atm machine ke screen pr bahut saare option nazar aayengen.
  • Atm machine ke screen pr nazar aane wale options me se aap ko mobile registration ke option ko click or select karna hai.
  • Jaise hi aap mobile registration ke option ko click karenge aap ko screen pr pin number type karne ka option nazar aayega.
  • Yaha aap mobile number registration ke option ko select kare.
  • Ab aap ko next screen me two option nazar aayega.agar aap apne saving account me pahli baar mobile number link karne waale hai to aap pahle option "new registration" ko choose kare.agar aap apna old mobile number change karna chahte hain to "change mobile number" ke option ko click kare.
  • Ab aap apna mobile number type kare or correct button ko click kare,or fir next screen me confirm likha nazar aayega usko click kare.
  • Aap ne jis mobile number ko type kiya tha us pr ek confirmation masseg aayega jiska matlab ye huwa ki aap ka mobile number aap ke sbi saving bank account me successfully register ho gaya hai.
  • Upar bataye gaye saare step ko sahi sahi karne ke baad aap ke mobile number pr ek 10 digit ka reference number aayega use aap ko 567676 pr send kar de.ab aap ka mobile number finally aap ke sbi bank account se link ho jayega.
So friends mujhe ummid hai ki aap samajh gaye honge ki "sbi bank account me mobile number register kaise kare?" agar aap ke man me "bank account me mobile number register kaise kare" ko lekar koi sawal hai to aap comment kar k puch sakte hai.





4 टिप्‍पणियां:

नई नई तकनिकी जानकारी,कंप्यूटर की जानकारी और मोबाइल की जानकारी के लिए HINDIME BLOG को बुकमार्क, सब्सक्राइब और निचे कमेन्ट करना मत भूलियेगा.

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();